Monday, 7 October 2013

★★TUJH BIN....★★

★★TUJH BIN....★★

Tera hi hai wo sparsh jise mai mehsus karna chahu,
Mera tujhme h ansh jise chah kar bhi alag na kar pau,
Sunte hue apne dil ki tere pyaar mai khoo gya,
Na jane kb mai deewana tera ho gaya,
Har pal tu mere sath chal, bin tere har manzil meri ojhal,
Awaz de tu mujh ko,
Mujhe wo sukoon haasil ho,
Tere daaman mai rehna aur teri god mai sona,
Bas itna hi jeene ko milta
Ise na chahu mai khona,
Jis haq se tujhe h maine apnaya
Kasam deta hu na chodega tujhe kabhi mera saaya,
Aa ab laut chale un kahaniyo mai
Jaha hote h hum khoye ek dusre mai,
Bas darr h itna
Tute na ye khwab na janu fir yeh kambhakkth dil royega kitna,
Ehsaan kar na mujhe kabhi khudse juda kar
Haq h tujhpe toh mai haq nibhar kar
Chala jaunga fir muh chupa kar
Na aaunga laut kar
Tujh bin marna b adhoora
Ek pal b tujhe dekhe bina na reh paye mere naina,
Dhoonde tujhe charo aur baichan pareshan
Na dekho tujhe to kya pata kaha bhatak jata h mera dhyan,
Ruthna mat
Bas pyaar tu kar
Tere hasi hotho se bs meri zindagi mai has tu khushi bhar,
Itna hi chahta hu tujhse aur yahi mangunga har bhagwan k dar,
Tujh bin nahi h mera agla din........

No comments:

Post a Comment